MERI KAHANI MERI ZUBANI WITH AFSAR SEKH CH-10

 

REAL LIFE STORY

Ch-10

Delhi se mera dost aaya


Chapter-9 to apne padh liya hoga chaliye ab aage ki kahani ki aur badte hain aur jante hain ki kaise maine apni behen ki shadi kari hum sab bahut tension mein the ki sab kuch decide to ho gaya par shadi ka kharcha kaha se hoga maine kaha abhi to time hain dekhte hai kuch jarur ho jayega par mujhe khud pata nahi tha ki kaise hoga sab upar wale ke upar chore rakha tha ki ab tak wahi problem se nikalta aaya hain aura b bhi wahi nikalega aur behen darji ka kaam ghar par hi karne lag gayi phir jaise taise din beete gaye phir ek mahina reh gaya aur hum abhi tak kuch bhi jugad nahi kar paye the phir papa ne kaha ki logo se help leni padegi pehle sab ristedaro se bol kar dekhte hain kon kitni help karta hain phir sochenge kya karna hain aur papa eke k karke sab se help mangne nikal pade acha to unhe nahi lag raha tha lekin kya kare beti ki shadi to karni thi jo bahut badi jimmadari thi maine bhi apne dosto se bola par tab sabki halat kharab thi to koi kuch help kar nahi paya phir main yehi sochta tha ki kaash delhi mein hota to job kar raha hota to behen ki shadi bahut ache se ho jati

 

Phir maine socha upar wale ne yaha par bheja hain to kuch acha hi socha hoga wo kabhi kisi ke liye bura nahi sochta aur yehi sochkar dil ko tasalli de raha tha bahut shoke tha behen ki shadi bari dhum dham se karunga lekin wo ho na paaya aur logo se help magni padi kismet jo likha hain wahi hoga phir papa jab ghar laute to papa ne kaha ha kuch logo ne kaha hai help karenge

Bas ab esi umeed mein the ki log help karenge din kafi karib aata jar aha tha aur papa ki tension badti ja rahi thi kuch logo ne to paise diya par kuch log mukar gaye jis se papa kafi tension mein aa gaye phir aur dusro ke pass gaye aur jaise taise shadi ka pura paisa jugad kar liya aur maine ravi, muqeem aur apne aur dosto ko bulaya lekin sab to nahi aa paye ravi bola main aaunga wo bol to raha tha par mujhe bharosa nahi tha ki wo aayega par ek viswas tha ki sayed dosti ab bhi kahi zinda hain kyun ki main kafi akela padh gaya tha phir ek din ravi ka phone aaya ki ravi aa rha hain usko subah 7.00 baje sealdah station par lene jana tha mujhe to viswas hi nahi ho raha tha ki ravi aa raha hain aaj kitne saalo baad us se milunga wo sab purani baatein yaad aa rahi thi mujhe to raat ko neend hi nahi aayi sayed wo bhi na soya ho aur subah ke 5 baj gaye papa ne kaha cha lab nikalte hain maine kaha ha chalo aur hum nikal pade main ravi se puch raha tha bar bar train time par hain ya deri se aayegi wo bola nahi time par hi hain aur dekhte hi dekhte hum sealdah station par pahuch gaye aur jis platform par ravi ki train aane wali thi main wo platform dhund raha tha lekin mil hi nahi rahi thi

 

Phir achanak meri nazar upar board par gayi to us par wahi number likh kar aa raha tha jo ravi ne bataya tha maine kaha papa dekho yehi platform hain aur hum platform par jaise hi khade hue ek train platform par ghusi lekin samajh nahi aa raha tha ki ye hi ravi ki train hain aur phir main ravi ko phone lagaya aur ravi ne kaha ki ha train sealadah pahuch gayi hain aur main kafi khush hua aur bola tu kidhar hain wo bola piche ki taraf aur dore kar usko dhundne laga aur call humne chalu hi rakhi thi aur kuch der baad humne ek dusre ko dekh liya aur dore kar gale lag gaye aur maine bola kaise hai yaar tu aur usne bola jaisa tu chore kar gaya tha aur papa dur khade hokar ye sab dekh rahe the aur maine us se kaha papa bhi aaye hain wo bola kaha hain maine kaha wo rahe aur wo papa ke pass gaya aur unke pao chuye aur bola Namaste uncle aur papa ne kaha ki raste main koi takleef to nahi hui wo bola nahi aaram se aaya hu aur phir papa ne bola chalo ab chalet hain

 

Maine socha kuch kha lete hain par ravi ne kaha ki nahi mera vrat hain tab durga puja thi to navratri ka vrat chal raha tha to who bahar ka kuch nahi kha sakta tha isliye maine bhi nahi khaya aur hum ghar ki taraf chal diye phir raste main usko sab cheez dikhata hua aa raha tha ki ab jab aayega to dekh le sayed main na aa pau to tu khud hi aa jayeo wo bola thik hain aur hum dekhte dekhte ghar pahuch gaye raste mein meri chichi thi to usne unke bhi pao chuye jo milta wo unke hi pao chuta main us se bolta tha ki yaha ye sab nahi chalta lekin wo suntan kaha tha meri aur ab hum ghar pahuch gaye the aur maine ravi se kaha dekh mera ghar to bhai aisa hi hain delhi mein alag tha aur gaon mein alag hain bola sahi hain yrr jaisa hain bahut acha tab mere ghar utna acha nahi tha jo deewar thi unme palster to tha nahi to maine kagaj hi laga rakha tha aur mere dusre ghar main to ek taraf deewar hi nahi hain to maine waha bhi lakdi ka deewar bana rakha hain

 

Ab ravi ye sab dekh raha tha to wo bola kuch kar ye sab kab thik karega maine kaha ha kar to raha hu par yaha utni income nahi hain aur shop bhi pehle se kafi down ho gayi hain jab se jio ka sim aaya hain tab se meri shop kafi down chali gayi hain log ab free net ka use kar rahe hain to mere shop par memory card load karne kon ayega mujhe to samajh mein nahi aa raha ki kya karu wo bola ho jayega kuch na kuch tu tension mat le maine kaha ha ab tu jitney din hain main tension nahi lunga aur hum naha dhokar khana khaya aur ghumne ke liye bahar gaye maine usko maine apne yaha ki sabse best jagah dikhai hamare yaha par par jo nadi hain who bahut acha lagta hai uske kinare par baithna itna sukoon milta hai ki main apko bata nahi sakta aur hum dono wahi ghumte rahe aur purani baatein karte rahe aur tahelte hue ghar aa gaye fir thake gaye aur thora so gaye fir uthe to hume game khelne ki sochi aur hum computer mein tekken 3 khelne lage fir hum thori der baad meri shop par gaye waha par aadhar card aur voter card link ho raha tha to maine socha q na thori income ki jaye aur humdono dukan par baith gaye aur log aate gaye aur hum dono link kar rahe the aur paise income kar rahe the fir hum dono ghar ki taraf chale gaye ab behen ki shadi ki bhi to tayari karni thi aaj ke liye itna hi milte hain next chapter mein    


Comments