MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-06

CHAPTER-6

REAL LIFE STORY

MY FIRST JOB

Chaliye ab aage ki kahani ki aur badte hai jab papa ne keh diya ki computer sikhne ke paise tujhe khud se hi karne padenge to main tension mein aa gaya ki ab main kya karu to main apne dost ke pass chala gaya mere dost ka naam ravi tha woh mera sabse acha dost tha hum hamesha ek saath ghumte the aur ek saath bahut time bitate the hum dono ki understanding kafi achi thi to main uske pass gaya aur us ko bola bhai computer ke paise to nahi ho pa rahe kya karu bata who bola ki abhi jo adcance fees lagegi who main de dunga but aage ke liye tujhe koi job hi karni padegi tabhi hoga main kaha job abhi to main 12th main hu aur study kar raha hu to job kaise karunga bola koi part time job kar le us se ho jayega.


MY FIRST JOB




 main kaha wo to theek hai par main karunga kya mujhe kuch samajh main nahi aa raha tha aur main uske pass se ghar aa gaya aur dusre din hum computer class ke liye nikal gaye waha jo teacher the unka naam rajesh tha hum unhe bhaiya kehkar bulate the aur wo bahut hasi mazak kiya karte the aur sabse jyada maze who mujh se hi lete but mera dimaag thoda acha tha jis wajah se who mujh pe thoda jyada dhyan dete the kuch dino mein hum kafi ghul mil gaye the aur aisa lagta tha jaise barso se jante ho par fees dene ka time kareeb aa raha tha aur main abhi tak kuch jugad nahi kar paya tha jis wajah se main kafi tension mein rehta tha

 

 phir mujhe kahi se pata chala ki jaha mein pehle rehta tha us jagah ka naam jaitpur tha matlab ki simran ke waha aur jis ladki ko meri mummy ne padhaya tha matlab jo bacho ka tifin chori karke khati thi woh aur main same umar ke hi the to maine dosto se suna ki wo ek achi company mein manager ki post par hai mujhe to viswas nahi hua ki jo ladki kal tak bacho ka tifin chura kar khati thi woh aaj ek company ki manager hai uska naam soniya tha main us se milne chala gaya lekin khayal aaya ki waha simran bhi hogi aur jis jagah ko main chore aaya hu us jagah main dubara nahi jana chahta tha par kya karu majburi sayed wo mujhe apni company main koi job dila de to main aur mera dost nikal pade jaitpur ke liye aur jab main gali mein pahucha to meri saanse jor jor se chalne lagi aur main soch raha tha ki agar simran mili to kya bolunga bas yahi sochte sochte main uske ghar ke aage se nikal gaya

 

 dekha to uska darwaze par lock tha maine pucha ye log kaha gaye hai bola simran ki shadi hai gaon gaye hue hain thodi der ke liye mano main tham sa gaya ki life ki kaisi kahani hai aaj jisko ek nazar dekhne ki umeed se aaya tha uski shadi ho rahi hai aur main soniya ke ghar par pahucha to dekha ki woh laptop lekar baithi thi aur usme kuch kaam kar rahi thi to usne mujhe jaise hi dekha kaha tu yaha kar raha hai main kaha tujhse hi milne aaya tha bola bata kya kaam hai maine kaha tu to bahut tarakki par hai keh rahi ha wo to hu maine kaha meri bhi job lagade kahi paiso ki thodi kami ho rahi hai bola meri company to tu kaam nahi kar sakta maine kaha q keh rahi nahi tujhse hoga nahi  jis ki life main banayi who mujhse keh rahi thi ki tujhse yeh kaam nahi hoga maine kaha thik hai koi baat nahi aur main waha se chala aaya jab main aa raha tha to barish chalu ho gayi aur us barish ke karan mujhe simran ki yaad phir se aa gayi aur dil se shayri nikli

aaj phir barish hui aaj phir dil suna hai woh din kaha gaye jinka aaj bhi rona hai”

Aur main yeh gaana gunguna hua ghar ki aur chala gaya 

yaad aao na tum hai guzarish yehi tute dil ki sanam bas hai khawaish yehi bas ab khatam ho bhi jaye tera mera jo bhi silsila hai bas yehi sochta hu jab main kuch nahi sirf dil jala hai”

Ab soniya mujhe mana kar chuki thi aur din bhi kafi kareeb aa gaya tha to usi company main khud se hi chala gaya jisme soniya manager thi aur jakar guard ko bola ki mujhe interview ke liye ander jana hai to guard ne kaha kisi ki sifarish hai maine kaha nahi to bola fir ander nahi ja sakte yaha sifarish per hi ander jate hai to main waha se chala aaya aur raste main us company ke log ja rahe the kyon ki un sab ki dress ek jaisi thi to main ek aadmi se kaha ki aap yahi kam karte ho usne kaha ha maine kaha mujhe bhi karni hai lekin mujhe ander nahi jane de rahe kya aap meri help kar sakte ho wo bola ha thik hai main tumhe ander to bhej dunga lekin interview tumhe hi clear karna hoga

 

maine kaha thik hai aap mujhe ander bhej do aur usne guard se kehkar mujhe ander bhej diya aur main ander chala gaya aur jakar interview dene laga waha interview exam ki tarah hota tha jo exam main pass hota tha usko sir ke pass bheja jata tha maine exam de diya aur thodi der baad mujhe kaha tum pass ho gaye ho ab tum sir ke pass ja sakte ho aur main sir ke pass chala gaya waha sir ne mujhe ek chart diya jisme kafi bindu thi aur usme ek number likha tha sir ne kaha tumhe isme konsa number nazar aa raha hai maine kaha isme to 5 likha hai

 

sir ne kaha thik hai baith jao actuaaly wo nazar test kar rahe the to unhone kaha hamara 3 sift mein kaam hota hai hum koi si bhi sift de sakte aur kabhi bhi us ko change kar sakte hai kya tum karoge mujhe samajh nahi aa raha tha maine kaha thik hai karunga aur un hone kal se join karne ke liye kaha aur main ghar mein khushi khushi aa gaya aur mummy ko bataya mummy ne kaha tera dimaag kharab hai koi si bhi shift karega to school kab jayega aur computer class kaise jayega padhai chore dega to baad mein kuch bhi nahi kar payega job nahi karni chore de aur padhai per dhayan de

 

main kafi udas ho gaya ki itni mehnat ka koi fal nahi mila aur main dusre din job par nahi gaya aur institute chalaya gaya waha bhaiya ne kaha aaj main tumko data entry ke baare main bataunga main kaha yeh data entry kya hoti hai bhaiya to unhone bataya ki jab hum hard copy ko soft copy mein badalte hai to usko data entry kehte hai yeh kahi prakar ki hoti hai aur kabhi kabhi hum soft copy ko bhi soft copy mein badalte hai jaise pdf to word maine kaha mujhe ache se samajhna hai to bhaiya ne kaha to last wale batch main aana uske baad hi main data entry ka kaam thoda bahut karta hu jo hamae hi institute ka hota hai maine kaha thik hai main apna batch change karke last wala hi kar leta hu aur main dusre din se last wale batch mein aane laga aur

 

bhaiya se data entry sikhne laga maine kaha iske liye kya jaruri hai unhone kaha sabse jyada speed jaruri hai maine kaha woh kaise banegi bole typing practice se maine kaha meri kitni speed hogi abhi bole 5 normally logo ki speed 5 hoti hi hai maine kaha acha to kitni honi chahiye bole 35 minimum maine kaha acha ek din to jarur hogi aur main practise main lag gaya idhar paise dene ke din bhi kareed aa raha tha aur paiso ka koi jugad nahi hua to  main institute ja raha tha mana karne ki main ab continue nahi kar paunga kyun ki main paiso ka intezam nahi kar paya to jab main ja raha tha to raste main ek jagah maine dekha likha hua tha

 

 data entry operator chahiye maine kaha data entry jo bhaiye ne bataya tha main jakar dekhta hu to main ander chala gaya jakar dekha ek bujurg baithe hai main kaha yaha data entry ka kaam hota hai unhone kaha ha mera beta karwata woh abhi nahi hai to unhone kaha kitni speed hai tumhari maine kaha 5 hai kaha mazak kar rahe ho kya maine kaha nahi sach main 5 hai bola 5 ki speed lekar job dhundne aaye ho maine kaha ha karunga to badh jayegi bola usme to cigrate ke paise bhi nahi niklenge maine kaha main nahi pita cigratte bola to fir mat karo koi fayeda nahi hai maine kaha bhaiya kaha matlab apka beta kab aayega mujhe unse baat karni hai bola shaam ko ayega maine kaha thik hai main unse hi mil lunga aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments

Post a Comment

PLEASE SPAM COMMENT NA KAREIN AUR HAMEIN COMMENT KARKE BATAYE KI APKO YE CHAPTER KAISA LAGA