MERI KAHANI MERI JUBANI

REAL LIFE STORY

                                                      INTRODUCTION

Aaj jo main apko story sunane ja raha hu yeh eK real life story hai jo meri hi kahani hai normally kya hota hai logi o ki kahani mein twist hota hai mere saath ulta hain mere twist meri kahani hai es stto ory mein jo female character hai unke naam change kiye gaye hai taki meri es kahani se unke life mein koi farak na pade baki charactero ke naam real hi hain meri ye kahani apko jarur pasand aayegi agar pasand aaye to like aur share kariye taki jyada se jyada log es story ko padh sake aur samajh sake ki zindgai kaise kaise khel khelti hai aur hamein kitna problem face karna padta hai aur tab jake kahi kuch haisil hota hai to chalo shuru karte hai.


                                                                       PART-1

Chapter-1  

CHILDHOOD

CHILDHOOD


aaj 28 dec 1992 hai aaj ke hi din mera janm hua tha delhi ke lajpat nagar namak jagah meiin lal hospial  mein hua tha sab bahut khush the kyun ki ghar ke pehle bacha hua wo bhu ladka mere mummy papa ki love marriage thi waise to hum rehne wale calcutta ke hain par mummy papa shadi ke baad delhi mein rehne lag gaye waha ek kiraye ke kamre mein rehte the na fan tha na koi saman aate ki bori per sar rakh kar sote the papa aur saree ko gol gol karke us par sar rakhkar soti thi mummy papa ek company mein bahut kam paiso  ki job karte the unko 1600 rs ki salary milti thi usi mein guzara karna padta tha wo tamatar ki chatni aur roti kha kar guzara karte the fir main paida hua to unke kharche badh gaye fir thoda bahut udhari hone laga mummy ko

hindi nahi aati thi jis wahah se wo kisi se baat nahi kar pati thi guzare mein kafi dikkat aane lagi tab unhone decide kiya ki jab hamare ghar mein paiso ki bahut tangi hone lagi to mummy aur papa ne decide kiya ki mummy kolkata me jakar bachho ko tution padayegi mummy ne kolkata se graduation kar rakhi thi jis wajah se woh bachho ko pada sakti thi to faisla ho gaya

Mummy kolkata jayegi aur papa yehi delhi mein rehkar job karenge aur phir ek din mummy kolkata ke liye nikal padi saath mein ek uncle bhi mummy ko chorne gaye train me jab baithi to papa bye bolkar jane lage aur train chal padi main kehne laga mummy tarin roko papa to niche hi reh gaye wo train mein nahi chade hain aur yeh sunkar papa bhi rone lage aur mummy bhi rone lagi lekin ab kya kar sakte hai ghar ki halat ki wajah se alag alag rehna padega fir mummy kolkata pahuch gayi mummy ne family se alag rehne ka socha kyun ki mummy aur papa ne love marriage ki thi jo ghar walo ko pasand nahi tha isliye mummy ne alag rehne ka socha jo ek mithi ka ghar tha usme garmi bhi bahut lagti thi aur bahut takleef hoti thi rehne mein idhar papa ka bhi bura haal tha khali khali ghar katne ko dorta tha hamari kami hamesha unhe yaad aati thi


 Woh mera papa keh kar gale se lipat jana woh mujhe ghumane le jana aur bhi bahut kuch phir uncle ne mummy se kaha tum delhi wapis chali jao bhaiya ke pass unka bhi waha man nahi lag raha hai chalo main tumhe chore aata hu mummy ne kaha jana to mujhe bhi hai lekin mere pass paise nahi hai uncle ne kaha main kuch jugad karta hu aur unhone apne ghar ka pankha girvi rakhkar kuch paise liye aur usi se mummy ko delhi  pahucha diya aur jab mummy delhi pahuchi to papa ke khushi ka to thikana na raha aur wo dono gale lagkar rone lage aur kaha ab jo zindagi itne dino jee rahe the usme koi maza nahi tha ab dono saath saath jiyenge chahe thora kam khana pare ya pareshani thodi jyada ho jaye lekin ab saath hi rahenge jo itne din hum dur rahe aisa lag raha tha mano narak main the aise karke paise nahi kamane kitni takleef hui mujhe papa ne bola mujhe bhi tumhare pass to bacha tha mere pass to koi nahi tha jab ghar aata tha mano ghar katne ke liye daur raha ho bilkul bhi acha nahi lag raha tha par tumhe kuch bol bhi nahi paya main janta hu agar maine bola to tumhe takleef hogi isliye maine tumhe kuch nahi bataya chup chap hi raha jo bhi hua jaisa bhi hua sab sehta raha lekin tumhe kuch nahi bataya 

Main soch hi raha tha ki tumhe wapis lekar aau aur tum aa gayi bahut acha kiya jo tum aa gayi ab jakar mera kaam mein thoda man lagega mujhe kaam se ghar aane ka man nahi hota tha kyun ki mujhe pata tha ki ghar jakar kya karunga waha to koi milega nahi lekin ab ghar aane ka man hoga bache ke saath khel sakunga main kafi khush hu ki tum wapis aa gayi ab kabhi mujhe chore kar mat jana main un dono ki baatein ek tuk hokar sun raha tha kuch samajh mein nahi aa raha tha bas wo log ro rahe the to main bhi ro raha tha 

papa bolne lage dekho hum ro rahe hain to ye bhi ro raha hain chalo ab rona dhona choro ab rone ka time gaya ab jo hoga acha hi hoga ab main jyada mehnat karunga lekin tumhe kahi jane ki jarurat nahi padegi ye wada raha mera aaj ke liye bas itna hi

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08



Comments

  1. Amazing story please post full story i want to read full story

    ReplyDelete
    Replies
    1. yes i will post every day one chapter so please check my blog everyday and read every day story

      Delete
  2. Replies
    1. aap mere blog par jao aur per day apko ek chapter milega read karne ko thank you read my story

      Delete

Post a Comment

PLEASE SPAM COMMENT NA KAREIN AUR HAMEIN COMMENT KARKE BATAYE KI APKO YE CHAPTER KAISA LAGA