MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-05

CHAPTER-5

REAL LIFE STORY


EK NAYA SAFAR

EK NAYA SAFAR


Jab main waha se nikla tab mujhe nahi pata ki main kaha ja raha hu fir ek jagah jakar gadi ruk gayi papa ne kaha yehi utarna hai tab bahut raat ho rahi thi raat ke 11 baj rahe the main kafi udas tha aur gusse mein bhi kyun ki mujhe pata tha ki mera kya gaya hai meri to jaise duniya hi ujar gayi thi par kisi ko kya batata hum sab dukh the main kuch jyada dukhi tha soch raha tha usko kaise bhulaunga upar wale ne to meri sari khushiyan hi mujhse chin li pata nahi upar wale ne mere saath aisa kyu kiya par ab kya kar sakte the hum papa ke dost ke ghar par ruke the

 jab tak hamara ghar complete nahi ho jata aur raat guzar gayi aur subah ho gayi subah hote hi mere dosto ko pata chala ki main waha se chala gaya hu unhe mere naye ghar ka pata tha to who school se direct mere pass aa gaye aur bole ab hum yahi rahenge tu aa gaya to hum kis ke saath khelnge main kaha nahi ghar jao tumhare ghar wale dhundenge koi nahi roz thori der ke liye aa jana aur who kafi sad hokar chale gaye main apna ghar banne mein help karne laga mera new ghar kafi sunsan jagah par tha jaha abhi jyada logo ka ghar nahi tha us jagah ka naam Faridabad (Haryana) tha jo delhi se sata hua tha 

matlab hum delhi aur Haryana ke border par rahte the mere ghar ki pichli diwal delhi mein aura age ka side Haryana mein tha beech mein ek patli gali thi jaha se hum delhi ja sakte the kyun ki sab dukane delhi mein hi thi Haryana mein kuch nahi tha mera waha bilkul bhi man nahi lagta tha fir bhi rehna padta tha kya kare mazburi thi fir hamara ghar tyaar ho gaya lekin ek hi karma bana tha baki nahi ban paya kyun ki paise nahi the to uske upar humne tirpal laga di aur rehne lage lekin jab aandhi toofan aata to tirpal khul jati aur saara barish ka pani ghar mein bhar jata fir mein tripal ko pakar kar puri barish mein khara rehta aur mummy pani uthakar bahar phekti aisa hi chal raha tha ab main 10th class mein pahuch gaya tha 

board ke exam the par mera padhai main bilkul man nahi tha main hamesha simran ke bare mein sochta rehta tha sochta tha ki kahi se who aa jaye  “pehle to kabhi kabhi gum tha ab to harpal hi teri yaad satati hai ab to harpal hi teri yaad satati hai” phir maine socha kab tak aise hi ghut ghut kar jeeta rahunga thoda bahar nikalta hu to mere gali ke kuch ladke cricket khelne ke liye ja rahe the to main bhi unke phiche phiche chal pada aur chalet chalet who ek maidan par pahuche aur cricket khlene lage

 main bhi side mein bethkar unhe dekhne laga unka ek player nahi aaya tha to unhe mujhe bulaya aur pucha tumhe cricket khelna aata hai main kaha thoda bahut kaha hamara ek player nahi aaya to kya tum kheloge main kaha thik hai khelunga aur hum khelne lag gaye pehli batting un logo ki thi unhe 52 run banaye phir humari team ki bari aayi who sab khele phir jab last ka over bacha tha to hume 20 run chahiye the meri batting abhi tak nahi aayi thi jab ek boll bacha tha to sare out ho gaye the running par ek ladka khara tha aur batting par mujhe jana tha last bol par 6 run chahiye tha mujhe laga batting mili to wo bhi 1 ball ki aur wo bhi 6 run sab har man chuke the kyun ki 1 ball par 6 run kafi mushkil tha maine kaha agar ball bat ko tuch hui to 6 nahi to out 

aur maine bat ko kashkar pakda aur ball ka intezaar karne laga jaise hi ball meri taraf aayi maine aankh band kar li aur jor se balla ghuma diya aur ankh bhi nahi kholi phir jor ka shor sunai pada sab chilla rahe the maine ankh kholkar dekha to hum jeet chuke the bol siddha ground par jakar giri thi aur sab mujhe utha kar nachne lage mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki ye sab kaise ho gaya tab se main unka hero ban gaya aur wo mujhe roz khelne ke bulane aate the aur mere kafi dost ban gaye the ab mujhe akelapan nahi lagta tha ab dhire dhire 10th exam kareeb aa raha tha phir ek din bahut bada match hone wala tha to mere dosto ne kaha us din tujhe aana hi padega maine kaha thik hai vaada karta hu aaunga lekin us din mera math ka exam tha

 afternoon ko aur match tha subah mujhe panda bhi tha lekin main vaada kiya tha aur vaada main todta nahi hu to main chala gaya match khelne match to hum jeet gaya lekin exam mein mujhe compartment mila jis karan papa bahut gussa hue aur mujhe kadhai ka kaam karne ke liye apne dost ke pass le gaye aur ab main waha kadhai ka kaam karne laga par mujhe kadhai ka kaam karne ka bilkul man nahi tha to maine mummy se kaha mujhe ek chance do main pass hokar dikhaunga mummy ne kaha thik hai agar nahi hua to wahi karega jot tere papa bol rahe hai main kaha thik hai aur mere ek bhaiye the 

bantu bhai main unke pass aur bola mujhe math ki class deni padegi aur mujhe pass hona hai aur fir who mujhe padhane lage aur exam main mein pass ho gaya mujhe kafi khushi hui aur main 11th class mein dusre school mein jane laga waha mere kafi dost ban gaye lekin main jab bhi lunch ke time hath dhone jata to aakar dekhta kisi ne mera lunch kha liya hai aur main roz bhuka hi reh jata fir ek din maine socha ki usko pakadna hi padega aur main hath dhone ka bahane gaya aur darwaze ke peeche chup gaya to dekha ki mera dost mere bag se lunch nikal kar kha raha hai mujhe bahut gussa aaya aur maine uska sir diwal par mar diya fir wo rota rota apne bhai ko bula laya tab main ghar jar aha to gate par usne mujhe roka aur bola tune mere bhai ko kaise mara main tab gusse main tha maine uska sir gate par maara aur bola aise maara tha aur main waha se chala gaya

 phir dusre din dono ne mujh se mafi mangi aur hum fir se ache dost ban gaye ab main 12th class mein pahuch gaya tha main kabhi tution nahi padi main khud se hi padta tha aur thori bahut mummy help karti thi mujhe to 12th pass karke lcollege jana tha aur college bunk karke khub masti karni thi par mujhe kya pata tha ki meri kismet main kuch aur hi likha hai idhar mere saare dost computer sikhne lke liye ja rahe the to who mujhe bhi bolne lage maine kaha nahi yaar main nahi jaunga mujhe computer nahi sikhna hai to

 who mujhe jabardasti le gaye aur compuer center balo ne kaha mahine ke 500 rs lagange maine kaha itne paise kaha hai mere pass to fir main mummy se kaha aur mummy ne papa se papa ne kaha mere pass nahi hai agar computer padhna hai to khud hi paise ka intezam karna padega main sochne laga ki paise ka intezam kaise karunga aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments

  1. Replies
    1. Thanx ritwik agar story pasand aayi hai to dosto ke saath share kijiye

      Delete
  2. bhai tumara struggle dekh kar mujhe rona a gaya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanx adil agar story pasand aayi hai to dosto ke saath share kijiye

      Delete
  3. afsar tumara lovestory ka end hota dekh bohot dukg huwa

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanx tukai agar story pasand aayi hai to dosto ke saath share kijiye

      Delete
  4. Replies
    1. Aap kya keh rahe ho mujhe samajh nhi aa raha please whatsup par clear bataye

      Delete
  5. keya tume website banana ata he mere pas ek kam he kar sakte ho kya
    1 lakh ke andar banana hoga budget thoda kam he

    ReplyDelete
  6. Sagar aap whatsup no par contact karo

    ReplyDelete
  7. thoda image ke sath post karo acha lagega

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai ye real story hai tab maine koi picture click nhi ki thi jab se ki hai tab se image bhi dalunga

      Delete
  8. Replies
    1. Woh aane wale chaptaro mein pata chal jayega

      Delete
  9. Replies
    1. Ha bilkul sikha dunga whatsup par contact karo

      Delete
  10. mujhe bhi blogging karni he konsa pc kharidu me

    ReplyDelete
  11. tumara blogging se income kitna hota he

    ReplyDelete
  12. bhai bapok likichis bhalo laglo pore

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai jodi bhalo legeche thale share karun

      Delete
  13. tum khud website banate ho kya tumara team hai mujhe reply me batao ki tum kitne din a project kar sakte ho phir age bat karenge

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ha ek dost hain aur sab kaam main hi karta hu kaisa project hain woh contact karne ke baad hi bata paunga

      Delete
  14. story to bohot achi thi but afsar thoda bada chapter banao chota chapter jaldi khatam ho ja raha he , jada story ek sath likhe post karo

    ReplyDelete
  15. Sirin mujhe bahut kam time milta hai isliye kam hi likh pata hu phir bhi apne kaha hai to es baat ka dhayan rakhunga thank u

    ReplyDelete

Post a Comment

PLEASE SPAM COMMENT NA KAREIN AUR HAMEIN COMMENT KARKE BATAYE KI APKO YE CHAPTER KAISA LAGA