MERE RISHTE KI BAAT CH-13

 

MERE RISHTE KI BAAT



Aappne to chapter 12 padh hi liye hoga chaliye aage ki story ki taraf badhte hain Jab papa ne kaha ki mujhe pasand hai aur shadi wahi hogi tab main kuch na bola kyun ki mujhe fark nahi padta ki meri shadi kis se ho rahi hain jaha mujhe karni thi waha to karwayi nahi ab keh rahe hai ladki pasand kar to wo mujhse nahi hoga kisi se bhi karwa do main adjust kar lunga aur pyaar us se hoga ki nahi pata nahi par ha care karunga puri kisi chiz ki takleef nahi hogi par mummy razi nahi thi es shadi se wo bol rahi thi ki wo ladki thik nahi hain wo agar aayegi to ghar mein bahut jhagda hoga isliye kahi aur dekhte hain par papa keh rahe the ki wahi hogi mere ddost ki beti hain kuch hua to dekh lenge aur papa ne un logo ko ha bol diya ab wo sab mujhe dekhne ke liye aane wale the to unhone kaha ki jab dekhne aayenge mujhe to tabhi hi dete wagarah final kar lenge to humne kaha wo to ladki walo ke ghar hota hain hamare yaha q wo bole hamare yaha koi itna hain nahi aur waise bhi tumhara bhi to kharcha hoga to yehi kar lenge tumhara kharcha bach jayega aur hamara bhi to humne kaha theek hain jaisa thik samjhe  aur phir ek din wo aaye main kafi nervous tha kyun ki sab pehli baar ho raha tha subah se mummy lagi hui thi khana baanne mein bahut tarike ke pakwan bane the fir un sab ne nasta kiya aur mujhe bulaya fir main gaya aur ek chair par baith gaya aur pehle to wo sab meri taraf ghur ghur kar dekhne lage ki ladka kaisa hai dekhne mein to jab unhe laga ki ha ladka dekhne mein sahi hain to unme se ek ne pucha kya karte ho mene kaha dukan hain computer ki fir bola kitni padhai ki hain maine kaha 12th pass hu aur computer ka course kiya hain bas aise hi kuch aur personal sawal puch kar unhone mere haath mein kuch paise thama diye aur mujhe jane ke liye kaha main dusre kamre mein chala aaya aur dekhne laga ki kitne paise diye hain to dekha ki 1000 rs the main kafi khush hua ki 1000 rs chalo sahi hain jo kharcha hua hain uski thori bahut bharpaye ho jayegi aur fir wo sab bahar chale gaye aur ghar ko bahar se dekhne lage to wo mere chacha se puchne lage ki ladke ki jagah kitni hain to unhone dikha di to unko kam lagi aur apas mein baatcheet karne ke baad wo bole ki hum aaj dete final nahi karenge ladki ke ghar par hoga hum sab choke gaye ki itne logo ko bula liya hain itna kharcha kiya hain aur aap bol rahe hain ki yaha nahi hoga wo bole ha ladki ke ghar par hoga maine papa se keh diya ki bol do en logo ko ki yaha se jaldi se bhag jaye warna ek ek ko buri tarah se marunga aur mere sab jija wagarah bhi tyaar the ki aaj to ye gaye par mere papa ne sab ko shant karaya aur un logo ko jane ke liye bola aur bol diya ki hum ye rista cancel karte hain mere rista tutne se jo sabse jyada khush thi wo meri maa thi maine kaha lo upar wale ne tumhari sun li wo boli ha maine bahut kaha tha ki waha par na ho mujhe wo ek dum nahi pasand  maine kaha chalo acha hai maine socha lagta hai meri shaadi hi nahi hogi fir hum kuch din ladki dekhna band rakha kyun ki ladki dekhne mein kafi kharcha hota tha isliye maine kaha kuch din ruk jate hain fir mere whatsup par ladki ki photo send karte the ladki wale but mujhe pasand nahi aati thi koi bahut choti to koi mere type ki nahi fir ek din ek ladki ki photo bheji to mujhe to kuch khas pasand nahi aayi kyun ki uska chahera to pura Dhaka hua tha bas thora sa chehra dikh raha tha to maine kaha ki ladki kaha dikh rahi hain mujhe nahi karni to mummy ne kaha mujhe to pasand aa rahi hain tab papa bahar the to papa ghar aaye aur maine photo dikhaya to papa ne kaha ki mujhe to nahi pasand eske nak naksh thik nahi hain to isliye rehne dete hain phir jisne ladki ki photo bheji thi jo rista karwate hain to who aaye to mummy ne kaha ki ladki ka chehra ache se nahi dikh raha hain to unhone kaha kit um akele hi dekh kar aa jao phir decide karna mummy ne kaha nahi aise jana thik nahi hoga thik hain mein ghar mein discuss karti hu ki kya karna hain to fir hum apko bata denge to fir humari ek meeting hui aur humne decide kiya ki sab jakar ek baar ladki ko dekhenge uske baad decide karenge ki kya karna hain aur fir ek date fix hui aur main mummy, papa aur meri sabhi chichi aur mere chote chacha gaye hum sab waha pahuche kafi acha ghar tha to hum sab ek kamre mein jakar baith gaye aur nasta pani karne lage main to waiting kar raha tha ki kab ladki aayegi aur kuch der baad wo aayi blue color ki saree pehen rakhi thi aur kafi achi sari thi uska muh to dikh hi nahi raha tha aur wo aakar rakhe hue chair par baith gayi aur sabko salam kiya aur chup chap baithi rahi main koshish to bahut kar raha tha usko dekhne ki lekin dekh hi nahi pa raha tha kyun ki muh kafi dhak rakha tha fir usne ghunghat uthaya aur thora sa maine muh dekha hi tha ki chacha bole tu bahar ja aur sab ladko ko bahar nikal diya maine kaha dhat teri ki abhi to thora chehra dikh raha tha aur abhi bahar nikal diya aur phir meri chichi ne mera phone manga aur uski photo le li aur fir maine phone liya aaj ke liye bas itna hi milte hain next chapter mein

Comments