- Get link
- Other Apps
CHAPTER-20
REAL LIFE STORY
PYAAR KI SHART
Jab main institute gaya to dimag bas wahi shart ki baat chal
rahi thi ki 1 week mein kaise hoga par socha ho jayega aur ladkiyo ki taraf
dekhne laga ki konsi wali jaldi pategi fir us ladki ne jo mujhe exam mein pareshan kar rahi thi usne
mujhe isare se bulaya aur mujhe baithne ke liye bola main kya karta aur koi
option nahi tha to main baith gaya aur wo puchne lagi aapne gaon main kya kya
kiya to main bhi batane laga ki kaha kaha ghuma aur kya kya kiya baton hi baton
mein usne kaha ki apka number milega maine kaha ki kis liye usne kaha aap bahut
kuch jante computer aur English mein kabhi koi dikkat aayi to main apse puch
lungi to maine bhi de diya phir kuch der tak class hui aur fir hum ghar ke liye
nikal pade us ladki ke saath ek aur ladki bhi thi aur wo dono saath hi aate
jaate the aur main aur ravi dono nikal gaya aur raaste mein maine ravi se sari
baat batayi to usne kaha teri to nikal padi maine kaha abe aisa kuch nahi hua
bas number hi to liya hai usne kaha bas number maine kaha tu chore yrr tu sab
baat wahi par le jata hai
Hum dono auto par baithe aur nikal gaya main
ghar pahucha hi tha ki ek unknown number se phone aa gaya maine kaha ye kiska
number hai to maine phone uthaya to udhar se ek pyari si awaz kaano mein padi
usne kaha pehchana maine kaha ye awaz suni suni lagti but us samay samajh nahi
aa raha tha ki kiski hai main kaha aap kon to usne kaha ki apne aaj kisi ko
number diya tha to jhath se mujhe yaad aa gaya ki ha us ladki ko diya tha to
maine ki oh to aap ho to usne aap mat bolo tum bolo sunne main acha lagta hai
main kaha thik hai to usne pucha ki ghar pahuch gaye maine kaha ha pahuch to
gaya lekin abhi lunch nahi kiya hai to usne kaha kar lo main thodi der baad
karti hu maine kaha okk thik hai aur main khana khane baith gaya khana khakar
utha hi tha ki phir se uska call aa gaya to maine kaha tum mujhe bar bar call
kar rahi ho kuch kaam hai usne kaha nahi kaam to nahi bas aise hi kar rahi hu
Agar
apko problem hai to nahi karungi maine kaha nahi kaho to usne kaha apka naam
afsar hai na maine kaha ha tumhe kaise pata usne kaha institute ki ladkiyon se
suna tha maine kaha acha kya keh rahi thi wo boli keh rahi thi ki kafi
intelligent hai maine kaha ohh tumhe kya lagta hai usne kaha ha wo to tum ho
aur hum dono hasne lage fir maine kaha yrr thak gaya hu thora aram kar leta hu
baad mein baat karte hain aur main fir so gaya aur fir jab utha to fir se uska
call aa gaya fir mere dimaag mein aaya ki iske dil mein kuch chal raha hai to
thoda dil ko tatola jaye aur pata kiya jaye ki kya hai dil mein aur ab maine
phone uthaya aur usne kaha ki so kar uth gaye kya maine kaha ha abhi utha hu
aur fir hum baat karne lage meri mummy aur meri behen sab yehi soch rahe the ki
jab se aaya hai pata nahi baar baar kiska phone aa raha hai aur main baat karte
karte bahar ki taraf nikal gaya aur main pucha ki yart ek baat batao main
dekhne main bilkul bhi acha nahi hu na boli nahi nahi aisa kisne kaha tumko tum
bahut cute ho maine kaha ohh tumhe aisa lagta hai boli institute ki larkiya
kehti hai wo sab tumhe like karti hai maine kaha ohh aur tum like nahi karti ab
wo kuch bol nahi pa rahi thi bas sharma rahi thi maine kaha kuch bolo usne kaha
whatsup karti hu bol nahi paungi maine kaha ok aur kuch der baad whatsup par
msg aaya
REAL LIFE STORY
RELATED CHAPTERS PLZ READ
PART-1
CHAPTER-1
CHAPTER-2
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html
CHAPTER-3
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html
CHAPTER-4
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html
CHAPTER-5
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html
CHAPTER-6
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html
CHAPTER-7
LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html
CHAPTER-8
CHAPTER-9
CHAPTER-10
CHAPTER-11
CHAPTER-12
CHAPTER-13
CHAPTER-14
CHAPTER-15
CHAPTER-16
CHAPTER-17
CHAPTER-18
CHAPTER-19
CHAPTER-20
CHAPTER-21
CHAPTER-22
CHAPTER-23
PART-2
CHAPTER-01
CHAPTER-02
CHAPTER-03
CHAPTER-04
CHAPTER-05
CHAPTER-06
CHAPTER-07
CHAPTER-08
- Get link
- Other Apps
Comments
Bahut hi mst hai and i'm very excited for next chapter
ReplyDeleteNice
ReplyDelete