MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-23

 CHAPTER-23

REAL LIFE STORY

ALVIDA DELHI
Logo ne kafi samjhaye but mera dhyan to sirf uski taraf tha puri duniya ko farak padh raha tha lekin mujhe nahi mujhe koi farak nahi padta ki wo handicapped hai par kya karu sab mera acha hi soch rahe the par mujhe to sare mere dushman lag rahe the

 

main jis se pyaar karta hu us se hi shadi hone ke chance lag rahe the to esi baat par main khush tha lekin jab bhi main us ke ghar walo se milne ki baatein karta wo baat taal deti kehti abhi nahi baad mein abhi papa ki tabiyat kharab hai aur aisa karte karte din katne lage aur hum ghar ko bechne ki koshish karne lage kyun ki karza kafi ho gaya tha aur main koi kaam bhi to nahi karta tha to fir din raat customer aate gaye aur hum ghar dikhate gaye lekin sab rate itna kam bol rahe tha ki humara bechane ka maan nahi ho raha tha fir ek din humare bagal mein jo rehte the unhi ke koi ristedar the unhone ghar dekha aur jo rate bola hum ko pasand aaya aur humne ghar bechane ka man bana liya

 

 Main thoda udas tha kyun ki ghar bechkar hum gaon jane wale the hamesha ke liye aur kabhi main apne dosto se nahi mil paunga aur na hi reshma se isliye kafi udas tha par kya kar sakte hai upar wale ko jo manjur hota hai wahi hota hai kismet par kisi ka zor nahi chalta sab usi ke hisab se hota hai bas yehi bol bol kar dil ko tasali de raha tha

 

 Mujhe khaskar ravi se bichadne ka jyada dukh tha kyun ki uske saath main jyada waqt bitata tha lekin ab us se bichadne ka samaya ho chala tha aur ek din who time aa hi gaya jab main delhi chorne wala tha sab riste naate todkar mujhe ek nayi jagah jana tha ek nayi duniya basani thi

 

Sab kuch naya hone wala tha yaha tak ki language bhi nayi hone wali thi ab kya kya hone wala tha aur kahani mein twist aane wala tha iska mujhe abhas bhi nahi tha par ab kya kare faisla ho chukka tha ghar bik chukka tha aur train ki ticket book ho chuki thi aur sab saman bhi distribute ho chuke tha to ab rehne ki koi wajah bhi nahi thi aur hum nikal pade the ek naye safar ki aur papa ke sab collegue unhe station chorne aaye the aur mere saath ravi aaya tha aur time ho chala tha

 

 Train chutne ka aur main ravi ko dekh raha tha aur ravi mujhe aur hum ek dusre se keh rahe the tension mat le hum fir zarur milenge aur maine delhi ko alvida kaha aur chal pada Kolkata ki aur


LEAVE DELHI






 

aaj ke liye bas itna hi Part -1 yehi par samapt hota hai ab dosto part-2 kolkata ki kahani chalu hogi jis mein aur jyada twist and turn aane wale hain to bane rahi meri story meri kahani meri  zubani par

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments