MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-15

CHAPTER-15

REAL LIFE STORY

DOST KA GAON


MUQEEM VILLAGE




 Jab main muqeem ke gaon pahucha to dekha ghar mein koi nahi tha sab bahar gaye hue the uski bhabhi thi jo chulhe par kuch bana rahi thi main bahar pare ek charpai par baith gaya aur thora rest karne laga phir thori der bad uske sab ghar wale aa gaye phir mein thori der bad sab se mila sab bahut ache the par uske gaon mein tarakki nahi hui thin a koi dukan thi na koi school tha mujhe to kuch bhi nahi dikha maine jaisa socha tha waisa kuch bhi nahi tha fir usne 7 baje kuch kachori khane ko diya aur phir upar chat par hum charpai par lete hue the phir thori der mein wo so gaya raat ke 9 baj rahe the aur mujhe bhukh lag rahi thi phir maine usko jagaya aur bola abet ere yaha raat mein khana nahi khate kya bola nahi hum sham ko hi kha lete hai raat mein nahi khate maine kaha mujhe to bhukh lag rahi hai to fir wo neeche gaya aur apni behan se kuch banana ke liye bola aur fir thori der mein neeche gaya aur khana khaya aur phir upar aakar so gaye phir jaise taise raat kat gayi phir jaise hi subah hui kan ke pass koi meh meh karke chilla raha tha



MUQEEM VILLAGE




 mujhe laga main sapna dekh raha hu phir thori der mein neend khuli to dekha ki bakri kaan ke pass chilla rahi hai maine kaha ha bas ab yahi baki tha phir utha aur washroom jakar aaya phir roti khayi aur kuch kaam to tha nahi to main waha paido ke neeche khatiya dalkar let gaya phir socha sabnam ko phone karta hu to fir usko phone kiya aur us se baatein karte karte kafi time beet gaya aur fir muqeem khan eke liye bulane aaya aur mein khane ke liye chala gaya jakar dekha to chawal aur ek achar diya tha maine socha uttam es se acha aur ho hi kya sakta hai aur fir daily aise hi katne lagi main waha paido ke neeche time beetane laga aur wapis jane ke din ginne laga ki kab main yaha se niklu phir muqeem ke dost aane wale the wo bike se aa rahe the aur phir wo bhi subah pahuche agle din shadi thi fir main unse mila aur thori der bad hum shadi ke liye chale gaye muqeem ke ghar se kafi dur tha aur fir waha pahuch gaye 




MUQEEM VILLAGE



jaha shadi honi thi phir kaji sahib aaye aur nikah padne lage hum log peeche baithe the phir nikah hua aur hum khan eke liye chale gaye aur khana pina complete karne ke baad ladki walo ke ghar gaye waha jakar dekha to ek tublight chal bujh rahi thi kafi garib family thi actually uski bhabhi ki behan hi thi aur fir thori der mein humein nikalna tha lekin ek gadi mein dulha dulhan gaye jis wajah se gadiya kam padh gayi aur do gadi ke logo ko ek gadi meni jana padha jaise taise ghar pahuche aur main kafi thak gaya tha to main so gaya agle din wapis bhi to jana tha to main so gaya aur main us ko mobile charge par lagene ke liye bola aur so gaya agle din jab subah utha to maine muqeem se kaha tu chal raha hai na usne kaha nahi bhai main nahi ja sakta maine kaha bhai tune kaha tha ki tu jayega tabhi to main aaya tha bola nahi bhai abhi nahi jaunga baad mein jaunga ab main kya kehta gussa to aa rha tha par galti to meri thi


 aane ka faisla to mera hi tha phir maine bola kam se kam station tak to chal bola nahi bhai mera jija ji ja rahe hain mere kuch ristedaro ko chorne to tub hi unke saath chala ja main aur kya karta chala gaya unke saath aur jakar train mein baith gaya kabhi akela safar nahi kiya tha lekin jana to padega aur mobile dekha to usme bhi charge nahi tha maine usko pucha ki bhai phone charge kyun nahi hai to bola bhai charge dena bhul gaya maine yehi socha ki ye galti dubara nahi karunga aur train chal padi mujhe teen train badalkar jana tha to pehli train se utra aur platform par baithkar dusri train ka intezar karne laga lekin thori der mein meri aankhein se kaise dhundla sa dikhne laga main apni ankhon ko rumal se pocha par phir bhi kaise dhundla sa dikh raha tha kuch saaf nahi dekh pa raha than a board mein kya likha aa raha hai kuch bhi nahi dikh raha tha


 sab dhundla dhundla dikh raha tha maine us ko phone kiya aur bola bhai mujhko kuch saaf nahi dikh raha hai tu ek baar aa jata to bola ab kaise aa sakta hu tu kaise bhi karke chala ja aur ye bolkar usne phone kaat diya phir ek train aa rahi thi main dorkar train ke pass pahucha to dekha koyle ki train thi platform par log hasne lage ki koyle ki train ko dekhkar q dor raha hai mujhe kafi dar lagne laga ki ab main itni dur jaunga kaise phir kuch socha aur logo se puchne laga ki aap kaha jaoga jo mere root par jane wala hota 


main usi ke pass baith jata ki ye jis train mein chadega main bhi usi main chadh jaunga meri budhi mani mujhe kafi karib le aayi aur mein last train tak pahuch gaya lekin train local tho to bheed bahut main khara hi tha socha ki abhi to station aa jayega aur main utar jaunga to koi nahi thora khara ho jata hu lekin train ek jagah jakar ruk gayi aur pata chala ki aage patri kharab hai 5 ghante lagenge mera to sunkar dimaag hi kharab ho gaya na kuch khaya tha aur ankhon ka haal bhi sahi nahi tha jaldi se ghar jana chahta tha lekin ab 5 ghante lagenge patri theek hone men aur mujhe seat bhi nahi mili thi to main 5 ghante khara hi tha itne mein sabnam ka phone aaya ki tu kab pahuchega usko kuch bhi nahi bataya aur bola aa raha hu usne kaha jaldi se aa tujhse kuch baat karni hai ab us ko kya bataun ki main kis position mein hu aur main patri theek hone ka intezaar karne laga aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08




Comments