MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-08

CHAPTER-8

REAL LIFE STORY

TELECALLER JOB

Jab bhaiya ne bola ki ab kaam nahi hai to main kafi pareshan ho gaya aur phir se job dhund ne laga aur mujhe placement office se ek jagah job mili jo okhla namak jagah par airtel telecommunication thi jisme airtel ka broadband sell karna tha jisme mujhe 4500/- rs ki salary par rakha aur meri 7 days ki training hui jisme 6 ladke aur ek ladki bhi thi training ke dino mein kafi maza aaya hum sab ache dost ban gaye the


TELECALLER JOB




 training mein to aisa lag raha tha ki bahar nikalkar sab broadband bech denge lekin aisa hua nahi jab calling par baithe to jo humne seekha tha sab bhul gaye aur samajh nahi aa raha tha customer kaise handle kare hamra team leader sirf hame customer ke number dekar chala jata tha main eek number par call kiya to ek ladki ne uthaya to usne kaha aap ko kis se baat karni hai maine kaha ji apse hi karni usne kaha batmeez tumhare ghar mein maa behen nahi hai kya aur phone kaat diya aisa bahut baar hua team leader mujhe bahut sonata bhi tha jaise taise 15 days beet gaye aur ek din meri tabiyat kharab ho gayi jis mein mene medical store se dawa li thi 

MARSHAL ART

phir maine office mein phone kiya to sir ne kaha medical lekar aana tabhi baithne dunga maine kaha maine to medical store se dawai li hai bola wo sab mujhe kuch nahi pata agar medical laye to hi aana phir maine wo job bhi chore di aur tab tak mera admission ho chukka tha jaise taise udhari lekar maine apna admission (university of delhi) mein open mein karwaya tha kyun ki regular college jane ke liye utne percentage nahi aaye the jis wajah se open hi karwa liya aur pol sci hons le liya kyun ki mera dost le raha tha to maine bhi le liya jo maine bahut galat kiya kyun ki woh bahut hard subject tha aur mere pass tution jane ke paise nahi the phir idhar abhishek ne kaha ki chalo marshal art chalte hai

 sikhne ke liye bahut kaam fees hai mera bhi interest tha to hum dono chale gaye 15 din seekhne ke baad jab thoda acha sikhne laga to sir ne kaha ki chorna mat tum bahut acha kar rahe ho aur maine dusre hi din chore diya kyun ki mujhe ek jagah job mil gayi thi jis wajah se main marshal art nahi ja paya job mujhe Nehru place mein mili thi jo subah 9 baje pahuchna tha mein pehle din gaya waha typing ka kaam tha aur uske baad meri tabiyat phir kharab ho gayi aur main 3 din tak nahi ja paaya aur phir jab gaya to unhone mujhe nikal diya aur main phir udas hokar ghar aa gaya main sochta tha ki din bure chal rahe hai ya qismat hi buri hai kuch din aise hi ghar par baitha raha phir ek din bhaiya ka call aaya aur unhone mujhe bulaya to main inke pass gaya aur bhaiya ne kaha ek naya kaam aaya jo book typing ka hai tu abhi kahi kar to nahi raha job maine kaha nahi to bola kal se aa ja maine kaha thik bhaiya ne kahi aur office liya thaw aha badi jagah thi kam se kam 10 operator kaam karte the tab abhishek ghar ke liye le jata tha aur kabhi kabhi waha bhi karta tha to fir main book typing karne laga jisme meri speed aur bad gayi 60 se 75 pahuch gayi to waha ek ladki kaam karne aayi 

uska naam cherry tha mujhe to uska naam hi bada azeeb laga ab jitney bhi ladke the sabka dhayan uske upar hi tha to jab wo aayi to bhaiya ne meri taraf ishara karke bola ki koi chiz samajh mein na aaye to afsar se puch lena aur mujhe bhi bola to maine usko samjha diya aur kabhi kabhi wo kuch puchti bhi thi ab kya hua lunch ka time ho gaya wo dur se aayi thi isliye wahi lunch kar rahi thi aur hum sab pass se aaye the isliye hum ghar par karne jate the to kuch ladke wahi ruk gaye socha afsar to jar aha hai lunch karne to ab yeh humse hi puchegi to esi umeed mein woh log wahi baith gaye lekin usne pucha nahi aur jab main lunch karke aaya to mujh se hi pucha to sab log chirne lag gaye 

phir do chaar din baad usne chore diya sayed usko waha pasand nahi aaya waha kaam kafi raat tak bhi hone laga kyun ki jab urgent hota tha to raat tak karte the phir ek din jo meri gali mein nayi family aayi thi uski dono beheno ko compartment mila 10th mein to unki mummy mere pass aayi aur boli beta en dono ko padha de maine kaha ki main to job karta hu mere pass time kaha hai bole beta ladkiya hai bahar kaha bheju aur bhejti bhi hu to bahut jyada paise mang rahe hai itna main nahi de sakti to beta tum hi padha do jab time mile tab padha dena maine kaha mujhe to fir raat 12 baj jayenge bola thik hai tabhi padha dena 

maine kaha thik hai fir padha dunga aur main job se aane ke baad unhe padhane chala jata jab pehle din unhe padhane baitha to dekha ki unhe kuch bhi nahi aata tha yaha tak ki abcd bhi thik se nahi aati thi mera to dimaag hi kharab ho gaya ki en ko pass kaise karaunga phir unhe shuru se padhana pada aur dhire dhire unhe sab aa gaya aur woh pass ho gayi aur phir 11th bhi mere pass padha unhone idhar bhaiya ka ek institute tha jisme unhone ek teacher rakha thaw oh teacher chore kar chala gaya to bhaiya ne mujhe se kaha ki ek kaam kar subah aur sham ki tution padha le aur baki jo time bachega usme kaam kar liyo to main tution padhane laga usme ladki thi kuch bache the aur bade bhi the kuch dino maine tution padhaya phir sabka course complete ho gaya aur wo chale gaye aur phir meri behan aur jo do behno ko mein tution padhata tha 

woh kehne lage ki hum bhi tution padhaenge aur fir main unhe apne yaha padhane laga unhone mere pass se basic aur tally padhi phir sham ke baad ek ladki aur ek ladki kaam karne ke liye aate the jab main padha tha ladki ka naam radhika aur ladke ka naam pramod tha kuch dino mein hum teeno kafi ghum mil gaye the aur ache dost ban gaye the pramod kafi acha gana ga leta tha to ek din maine aur radhika ne pramod ko ullu banaya pramod ko nahi pata tha ki meri speed itni jyada hai to radhika ne pramod se kaha ki afsar se typing speed ka challenge karle uski speed normal hi hai lekin wo shart lagata hai to pramod ne pehle 3 samose ki lagayi thi jisme main janbhujhkar haar gaya 

phir usne chowmin aur samosa ki lagayi jo akhri thi isliye maine apni real speed dikhayi aur usko hara diya usko to mano saap hi shungh gaya tha bola mere ko ullu banaya maine kaha wo sab chore khane ko lekar aa phir hamne chowmin aur samosa khaye  kabhi kabhi main unki typing thodi bahut kar deta tha jis se wo bahut khush hote the aur jab kabhi kabhi pramod nahi aata tha to radhika ko chorne bhi jana padta tha phir kuch dino ke baad radhika aur pramod ne chore diya aur hamari office thodi duri par shift ho gayi jo badarpur namak jagah par thi aur waha interview ke liye log aane lag gaye jo interview mein hi leta tha lekin mujhe bilkul bhi acha nahi lagta tha kyun ki main us waqt 12th pass tha aur jo interview dene aate the wo sab jyada padhe likhe the to kabhi kabhi acha bhi lagta tha ki main abhi itna kam padha likha hu tab bhi logo ka interview le raha hu lekin waha kaam kafi tuff tha jis wajah se koi nahi karna chahta tha aur dhire dhire sab chale gaye hum 2-3 hi bache the 

idhar mera b.a. ka exam bhi nazdik aa gaya tha lekin work pressure itna tha ki main padh hi nahi pata tha aur aisa karte kart eek din exam aa gaya aur main office se hi direct exam ke liye chala gaya mujhe to pata bhi nahi tha ki konsa exam hai main dusre ladko se puch raha tha ki aaj konsa exam hai aur wo hash rahe the ki exam dene aaya hai aur pata bhi nahi konsa exam hai au raise hi maine saare exam diye maine aisa hi bana bana ke likh diye kyun main kuch bhi nadhi padh paya tha idhar bhaiya ne kaha ki ab client hameiin kaam nahi de raha hain kyun ki hum unka order pura nahi kar pa rahe hai isliye main office band kar raha hu main kafi tension mein aa gaya tha lekin ab kya kar sakte the aur main fir se berozgar ho gaya tha aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein 
 

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments