MERI KAHANI MERI ZUBANII CHAPTER-10

CHAPTER-10

REAL LIFE STORY

TEAM LEADER

Jab manager ne mujhe ander bulaya to pucha ki aap pehle kaha kaam rehte maine kaha mere pass mere ghar ke pass hi ek institute hai usi main karta hu to bola to fir yaha interview dene q aaye ho maine kaha waha salary kam hai isliye to bola aapki typing speed kitni hai maine kaha 75 wpm to woh pan chabara raha tha achanak uske muh se pan nikal gaya aur bola 75 itni to maine kabhi nahi suni Mazak kar rahe ho kya subah subah maine kaha nahi really hai aap test kar ke dekh lo to bola thik hai aur mujhe ek room main le gaya aur baki sabko bhi bula liya aur kaha dekho ye keh raha hai ki eski speed 75 hai to sab dekhne ke liye aa gaye aur mere charo taraf khare hokar mujhe dekhne lage usme jyada ladkiyan hi thi pehli baar itni sari ladkiyo ko apne aas pass dekh kar main thoda ghabra gaya fir usne kaha typing kar ke dikhao to maine shuru kiya lekin speed 60 hi nikli to bola tum to bol rahe the ki 75 hai maine kaha ha wo thoda nervous ho gaya tha isliye abhi dikhata hu aur maine dubara typing shuru kar di aur es baar 77 nikal ayi sab hairan ho gaye fir manager mujhe sir ke room mein le gaya

 

 sir ab bhi nahi aaye the to woh bola salary kitni loge mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki kya bolu to usne kaha hum 9000/- de sakte hai abhi baad mein agar acha kaam karoge to badadenge maine kaha thik hai aur main kaam mein lag gaya us office  mein 2 department the ek quality checker ka aur dusra typing ka main typing wale mein tha aur mujhe ek ladka sikhane lag gaya jiska naam jatin tha lekin meri typing dekh kar kehta ki tu bahut aage niklega par mujhe nahi pata tha main ek din us office ka team leader ban jaunga woh bhi itni jaldi to main apna kaam kar raha tha to ab din beet te gaye aur dost bante gaye bahut se the jaise dhirendra, anil, pawan, bhupendra,priyanka,priya,bhawna,sangeeta mam aur jyoti ye sab dost ban gaye the fir ek ladki aayi thi bala woh new aayi thi kaam karne fir ek din ek aisa kaam aaya jo maine bhaiya ke pass 3 years kiya tha book typing ka to ek dost ne bataya ki sir ke pass book typing ka kaam aaya hai tu jakar dekh le sir puch rahe the kisi ko aata hai kya to main jar aha tha lekin us se pehle sarvesh naam ka ek bhaiya tha

 

 waha woh pahuch gaya unhe bhi aata tha to sir ne unhe us kaam ko soap diya aur kaha sabse karwana padega to woh karwane lage lekin woh bahut strickt behavior dikha rahe the jis wajah se koi unki baatein nahi sun raha tha jaisa ki mujhe bhi aata tha to sab mujh se puchte the kyun ki mein bare pyaar se samjhata tha to fir ek din sarvesh bina bataye gaon chala gaya to sir ne kaha ab kaam kon karwayega to kisi ne sir ko kaha ki afsar ko bhi ye kaam aata hai to fir sir ne mujhe bulaya aur kaha kya tum ye kaam karlogo mane kaha ha sir to bola thik hai aaj se tum team leader ho puri team ki jimmedari tumhare upar hai ache se karna maine kaha thik hai sir aur sab bhi bahut khush the mere team leader banne se kisi ko koi problem nahi thi

TEAM LEADER


 fir main kabhi kabhi puri team ki meeting le leta tha jis se sab sahi se kaam kar sake aur fir main typing nahi karta tha sirf qc check karta tha aur usko mail karta tha jis se mujhe raat ke 11 baj jate the aur main metro se suffer karta tha fir ek din chocolate day aaya aur soni ne mujhe phone kiya ki tu ab aata nahi hai milne ke liye aur aaj chocolate day hai mujhe chocolate chahiye to maine kaha thik hai aaunga par kal aaunga chocolate day se pehle propose day nikal chukka tha to maine kaha yaar propose day to nikal gaya maine kaha koi nahi abhi bol deta  hu aur main chocolate lekar chala gaya maine socha pehle apne dost ko bataunga muqeem ko to main jis taraf muqeem baith tta tha us taraf se gaya to muqeem samne hi baitha hua tha jaise hi maine enter kiya to bola tujhe kuch batana hai

 

maine kaha mujhe bhi kuch batana hai to maine kaha pehle tu bol fir main bolunga bola yar wo soni hai na maine kaha ha kya hua maine us se pyaar karta hu mujhe to kuch samajh hi nahi aa raha tha kya karu kya bolu maine kuch bhi nahi kaha to kaha maine propose kar diya hai maine kaha usne kya bola usne kaha abhi tak kuch bola nahi hai to us se baat kar ke dekh na maine kaha tension na le maan jayegi aur main itna bolkar uth gaya aur bola ki main chalta hu usne kaha ruk us se milkar to ja maine kaha nahi yaar late ho jayega office se direct yaha aaya hu main isliye jaldi waha se aa gaya kyun ki dil ki baat chehre pe na nazar aa jaye mujhe nahi samajh aa raha tha ki khushi manau ki dukh fir maine kaha agar wo us se pyaar karti hai to koi baat nahi acha hai

 

wo mujh se jyada usko khush rakhega bas yehi sochte sochte main ghar aa gaya aur so gaya aur yaha meri second love story shuru hone se pehle hi khatam ho gayi thi phir main dusre din office gaya lekin mera kisi kaam main man nahi lag raha tha fir maine kaha man ko to control karna hi padega fir soni ka phone aaya aur bola sun afsar man aur muqeem tere office mein job karna chahte hai maine socha ab to aur jyada tension hone wali hai ab main kya kehta maine kaha thik hai aa jao interview ke liye phir dusre din wo aaye to manager unhe typing test ke liye le gaya soni typing mein pass nahi hui aur muqeem ki bhi normal hi nikli to manager ne bola ye to kam hai to es par soni ko gussa aa gaya

 

aur woh manager se ladh padi main thodi der mein pahucha to manager ne kaha enko nahi rakh sakte maine kaha kya hua bola nahi ye ladki ladti hai maine kaha wo aisi hi hai main dekha lunga aap rakh lo bola nahi speed bhi nahi hai nahi rakh sakte mere bahut reqest ke baad bhi unhone mana kar diya to maine soni ko bola tumhe ladne ki kya jarurat thi main to tha na bola wo faltu bol raha tha maine kaha thik hai ab ghar jao baad main baat karte hai aur wo dono chale gaye   fir baad mein hum qutub minar ghumne gaye waha bhi bada maza aaya hum teeno hi gaye the par kehte hai khushi jyada din tak nahi rehti waise hi hua kyon main kuch dino tak busy ho gaya aur unse mil nahi paya fir ek din morning walk par muqeem se mila saath mein uska dost Deepak bhi tha to maine muqeem se pucha ki soni kaisi hai bola mujhe nahi pata meri ab us se baat nahi hoti

 

 main thodi der sun reh gaya aur fir bola kya bol raha hai tu bola ha maine us se break up kar liya hai maine kaha kya par kyu usne kaha main bahut baar phone karta tha to woh uthati bhi nahi thi isliye maine break up kar liya maine kaha phone nahi uthaya to break up kar liya itna kamzor pyar tha tera tune to kaha tha ki allah ki kasam kabhi nahi chorunga us ko to kaha gayi wo kasam to bola wo aise hi bola tha ab maine dusri girlfiriend bana li hai acha ab main chalta hu late ho raha hai aur woh itna bolkar chala gaya mere to kuch samajh mein nahi aa raha tha to maine soni ko phone kiya aur pucha to usne milne ke liye mujhe bulaya aur bola ki muqeem ko mat lana akele hi aana maine kaha ha akele hi aaunga aur fir man milne ke liye pahuch uske saath uski behen bhi thi maine pehli baar uski behen ko dekha tha to maine pucha ki aisa kya ho gaya ki tum dono ka breakup ho gaya aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter main

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments