MERI KAHANI MERI ZUBANI PART-2 CH-4

CHAPTER-04

REAL LIFE STORY

SHOP IDEA

SHOP IDEA


Fir ek din ek ladka aaya dukan par aur mere pass baithe uncle se bolne laga ki uncle yaha memory card mein songs and movie kaha load kiya jata hain to uncle ne us se kaha birlapur naam ki ek jagah hai hamare yaha 1 km dur hain hamare yaha se to woh thanks bol kar chala gaya fir mere dimag main ek idea aaya ki mere pass bhi to laptop hai jo mene last company mein job kiya tha uske pf ke paise se kharida tha usme kuch 250 songs pade the aur yahi koi 10 movie padhi hogi to maine uncle se bola ki mere laptop mein bhi to ye sab hai to main bhi yeh kar sakta hu aur kuch paise kama sakta hu

 

Uncle hasne lage bole itni si chiz se nahi chalta dukan aur bhi bahut kuch rakhna padta hai customer kuch bhi mang sakta hai to tumhe us ko dena padega to woh kaha se karoge maine kaha tab ki tab dekhi jayegi aur maine kaha uncle kal se main apna laptop launga aur income suru karunga uncle ne kaha thik hai aa jaiyo to main agle din aaya laptop lekar aur baitha raha customer ke intezaar mein lekin pura din beet gaya koi bhi nahi aaya fir sham mein sare papa ke dost waha ek jut hote the woh bolne lag eek achi si movie chala de hum dekhenge a bunko kaise mana kar sakta tha koi customer aata bhi tha to ye log us ko bolte the ja hum sab ke liye chai lekar aa to wo bhag jata tha aise koi bhi nahi aa raha tha main kafi pareshan rehne laga ki kya karu woh kehte hain na koshish karne walo ki kabhi haar nahi bagal mein ek bhaiya the

 

Jo ye sab dekh rahe the aur ek din unhone main mujhe bulakar kaha ki suno ek baat bolta hu ki un bhudho ke pass baith kar kuch nahi hone wala unhone na khud kuch kiya hai aur na hi tumhe karne denge tum meri ek bagal mein dukan khali padi hai us mein aa jao maine kaha mere pass kiraya dene ke paise nahi hai unhone kaha kiraya nahi lunga lekin meri dukan dekhni padegi unki almari ki dukan thi main kafi khush hua ki ab un logo ko nahi jhelna padega aur agle din main bhaiya ki  dukan par chala gaya

 

Maine jakar dekha ki jis dukan mein main apna kaam karne wala thaw oh kafi chota tha us mein sirf ek insan khade hone ki jagah thi upar pankha bhi nahi aur na hi light thi unke bagal wale dukan mein jo light lagi thi us ki halki halki roshni aa rahi thi usi se kaam chalana padta tha aur halki hawa bhi aati thi aur waha baith bhi nahi sakte kyun us dukan mein unka saman rehta hai jis ko wo baar baar lene aate the jis wajah se mujhe khara hi rehna padta tha 8 ghante rehta to kabhi raat 1 baje tak q ki jab tak wo nahi aate the aur dukan band nahi karte the main nahi ja sakta tha isliye mujhe kafi problem hui jo customer aata thaw o bhi kehta tha ki aap kaise rehte itni garmi mein yaha par main kaha mehnat to karni padegi warna bahut problem ho jayegi aur yaha par dusra koi kaam bhi to nahi hai

 

Main ab dhire dhire apne kaam ko samjhane laga aur maine soche ki jaldi se jaldi apne laptop mein woh sab tarah ki cheez load kar lu jo customer mange hain fir main eek idea lagaya jo customer aata tha uski memory mein jo kuch bhi hota tha main copy kar leta tha aur phir baad mein usko divide kar deta tha aur dusre customer ko dekar paise income karta tha esme mujhe bada maza aane laga aur dekhte hi dekhte mere laptop pura load ho gaya ab mere pass wo sab kuch tha jo customer ko chaiye tha

Ab meri income per day 100 rs hone lagi main kafi khush tha ki jo ladka chup chap do mahine tak baitha raha ek bhi rupay ghar par nahi de saka wo aaj ek idea se 100 rs per day ghar par de raha hain jis se ghar wale bhi khush the ki hamara ladka kuch to kar raha hain aur fir ek din aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein


REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments