MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-12

CHAPTER-12

REAL LIFE STORY

LABOUR COURT

LABOUR COURT


 Agle din hum sab court mein pahuch gaye hum sab jitney bhi the koi bhi kabhi court mein nahi aaya tha jis wajah se kisi ko bhi pata nahi tha ki kya karna hai kaha jana to hum sab idhar udhar ghum rahe the to ek budha mila wo bola ki kya baat hai app sab pareshan lag rahe ho maine kaha wo hum case file karne aaye hai lekin pata nahi kaha karna hai bola acha wo to main hi kar dunga koi problem nahi hai aur bola kitne log ho maine kaha 40 hai bola main case file karta hu aur usne likha kar sabke signature le liye aur bola ki main court main de dunga aur jab date hogi to aa jana main date phone par bata dunga maine kaha thik hai aur hum sab apne apne ghar chale gaye phir kuch dino baad uska phone aaya aur bola ki kal ki date hai sab ko lekar aa jana aur hum sab pahuch gaye lekin jab court ke ander gaye to waha par jakar ek side mein khare ho gaye aur thori der baad wo aakar bola ek mahine baad ki date mili hai maine kaha kuch pucha nahi kuch kaha nahi aur date de di bola yaha aisa hi hota hai phir hum ek mahine baad aaye aur phir wahi hua
phir kuch dino baad ki date mili mujhe kuch ajeeb sa lag raha tha 

maine kaha mujhe koi acha vakeel karna padega iske bas ki nahi aur maine apne dost se baat ki usne kaha ha ek vakeel hai jisne mere papa ka case lada tha maine kaha thik hai to maine sabko phone karke bataya ki bhai aisa hai ki main soch raha hu ki dusra vakil karunga us vakil se kuch nahi hoga to jo jo interested ho woh mujh se govindpuri metro station par aakar mile aur main govindpuri metro pahuch gaya aur wait karne laga to dekha ki koi bhi nahi aaya tha phir thori der mein bala,bhawana aur hamari ek madam thi aur mera dost hemant aaye to maine kaha ki lagta hai aur koi nahi aayega to hum chalet hai aur hum 5 naye vakeel ke pass gaye usne kaha meri fees 1000 rs hai humne kaha abhi to nahi hai case jeetne ke baad le lena woh man gaya aur hamara case le liya woh bahut damdar vakil tha aur hamara malik bhi court nahi aa raha tha to dusre din hum es naye vakil ke saath court pahuiche aur jakar officer se mile to isne kaha ki itne din se yeh chakkar kat rahe hai apne kya action liya hai to woh kuch na bola paya enhone kaha ki agar woh malik kal tak court nahi aaya to tere kapde phad kar raste mein khada kar dunga tu janta nahi hai main kon hu to fir officer ne turant ek notice malik ko bhej diya aur malik ko dusre din court aana pada woh aakar officer ke samne rone laga ki mere papa nahi hai meri do behan hai 

mere pass paise nahi hai officer ne kaha ye sab bolne ka koi fayeda nahi hai aapko dene ka rasta nikalna padega warna apka ghar nilam ho jayega aur itna sunkar malik waha se chala gaya jab jar aha tha to meri taraf gusse se dekh raha tha maine kaha dekhle dekhle teri wo halat karunga ki aisa karne se pehle 10 baar sochega fir hum agle date ki wait karne lage itne main mujhe ek mail aaya jisme likha tha ki post office ki job ke liye interview chal rahe hai jagah ka naam to mujhe utna yaad nahi hai par kafi dur tha yeh yaad hai to main pahuch gaya interview dene to waha bola ki typing speed kitni hai to maine bola test karke dekh lo bolunga to viswas to karoge nahi to phir main typing par baitha aur apni speed dikhai aur phir wo bola baap re itni speed to maine nahi dekhi kisi ki aap kab se join kar sakte hai maine kaha kal se main aur mere dost gaye the dono hi join ho gaye wo kisi aur post office mein gaya aur main kisi aur main gaya saket mein pehla din tha aur excitement kafi thi kyun ki post office mein maine kabhi kaam nahi kiya tha aur phir ek post se dusre post office dusre se teesre post office kaam karta tha phir ek month ho gaye aur salary ki date aayi par salary nahi aayi to mane bola to bole thoda time lagega aa jayegi fir court ki date bhi aa gayi thi to court gaya aur fir waha se karkarduma court shift ho gaya aur 2 month baad ka date mila idhar mere dost ko bhi salary nahi mili thi 

post office ki to usne mere mobile se sir ko msg bhej diya ki paise nahi doge to case kar dunga sir ne socha maine bheja to unhone kaha kar do nahi dunga aur mere paise bhi nahi mile aur phir humne uske khilaf bhi case kar diya kabhi lagta tha jaise hamare saath upar wala comedy kar raha hai phir hum paancho ne socha ki apna business karenge to data entry ka kaam utha kar laye wo bhi froad nikla usme bhi paise dub gaye phir mere dost ko ek job ka pata chala jo karol bagh mein thi softage naam ki company mein to usne mujhe saath chalne ko kaha maine kaha nahi bhai teri speed thodi kam hai aur meri jyada agar usko pata chal gaya to wo tujhe nahi lega mujhe karne ko kahega bola chalna jo hoga dekha jayega to maine bhi chal pada to jab waha pahuche to maine kaha sirf tu interview de 


main nahi dunga but kismet galti se mera resume usne sir ko de diya hamara ek hi beg mein rehta tha to fir bola sir galti se mere dost ka resume de  diya hai yeh lo mera resume par tab tak sir ne speed dekh li thi to uska test hua uski 35 nikli phir sir ne kaha aap bhi ek baar test de to maine kaha nahi sir yeh aaya hai main nahi bola koi nahi ek baar test hi to hai main just dekhna chahta hu maine kaha ok aur maine test de diya phir sir ne humko bulaya aur bola ki eska to nahi ho sakta lekin tum aa sakte ho tumhara ho jayega mujhe kafi afsos hua aur mera dost bhi udas ho gaya mane kaha sir main to eske liye aaya tha bola aap salary batao kitni logo maine kaha nahi sir main nahi kar sakta aur main itna bolkar ghar aa gaya phir sir ka phone aaya ki aap karlo aap jaise ki hi jarurat hai hame aap jo shift bologe main apko de dunga fir mummy ne bola chala ja itni achi jagah job mil rahi hai fir maine sir ko phone kiya aur bola ki kal se join karunga aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08


Comments