MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-09

CHAPTER-09

REAL LIFE STORY

NEW LEARNING

Jab bhaiya ne office band kar diya to main kafi tension men aa gaya ki ab kya hoga fir se job dhundna padega aur main dhund ne lag gaya to kisi ne mujhe kaha ki mere school ke pass ek institute hain waha par computer operator ki job hai to main waha chala gaya jakar dekha to ek hi post khali thi aur candidate 4 pehle se hi baithe the to main bhi jakar baith gaya to sir ne kaha ki ek hi post khali hai aur tum 5 ho to ek week sabhi kam karenge jiska sabse acha hoga wo hi rahega baki sab stand by par rahenge jaise koi job chorta to us ko rakh liya jayega to hum sab ne kaha thik hai aur 1 week beet gaya to sir ne mujhe hi rakha kyun ki meri speed un sab se jyada thi to ab mujhe job mil chuki thi par waha payment bahut kam thi 3000 rs the kaam ya tha ki jab customer aaye tabhi karna tha but waha maze bhi bahut the waha ek didi thi jinka naam sweta tha aur 2-4 ladke bhi the jo baad mein mere dost ban gaye the

 

 jaise Deepak,ravi, hemant aur suraj bhai wo to waha sab kuch sambhalte the unhone mujhe bahut kuch sikhaya hai aur sir bhi bahut ache the unse kabhi kabhar bahut si baatein ho jati thi unhone kaise institute shuru kiya aur usko itna aage tak kaise lekar aaye ye sab wo mujhe batate the sab kuch thik chal raha tha lekin ek problem thi ki mera sarir kafi dubla patla tha jis se bahut pareshani hoti thi aur sharm bhi aati thi ki main aisa kyun hu dost log chirate bhi the par main kuch kar nahi pata tha fir main ek din ek add dekha body ka to maine wo dawa manga li aur usko 3 month khaya pehle month khane par hi body mein kafi fark aa gaya tha aur kapde tight hone lage the to mujh mein bhi attitude aa gaya

 

 ab main ghar mein kabhi shirt nahi pehanta tha aisa hi ghumta tha kyu ki body ban gayi thi to logo ki dikhata tha fir dhire dhire 3 month ho gaye aur dawai bhi khatam ho gayi aur dhire dhire meri body wapis ghat gayi aur mein ab pehle se bhi jyada patla ho gaya aur kuch bhi khane ka man nahi hota tha phir main dusre doctor ke pass bhi gaya waha bhi dikhaya dawai khai lekin kuch farak nahi pada aur mene es ko apna naseeb man liya aur aise hi  rehne laga aur ek din mujhe dast lag gaye jab mujhe dast lage to mere mummy papa kafi ghabra gaye kyun ki ek baar jab main chota tha 2 saal ka tha to mujhe dast lage the aur janleva ho gaya tha mujhe hospital mein bharti karwaya gaya aur mere bagal wale uncle ko bhi dast lage the unhe bhi bharti karwaya gaya lekin kuch der baad wo chal base aur unki laas hamare ghar ke bagal mein hi rakhi gayi mummy ghar par hi thi us laas ko dekhar mummy ke jaise hosh hi ud gaye kyun ki unhone socha ki jab itna bada admi es bimari se nahi bach paya to wo nanhi si jaan kaise bachega aur mummy darwaze par khari intezaar karne lagi aur dua karne lagi ki us ko kuch na ho

LIFE BACK

  idhar papa hospital mein jagah na hone ke karan mujhe bench par letakar hath mein oxygen ki bottle aur glucose ki bottle pakar kar khare the aur dua kar rahe the ki ye theek ho jaye par doctor ne kaha tha ki bachna muskil hai agar 24 ghanto ke ander hosh aa gaya to hi bach payega warna nahi mummy aur papa ka bura haal tha jaise taise raat kati aur subah ho gayi aur mujhe hosh aa gya papa ke to jaise jaan mein jaan aa gayi aur fir woh mujhe ghar le gaye aur mummy bhi dekh kar bahut khush hui aur upar wale ko bahut thanx bola isliye jab mujhe ab dast lage the

to mummy papa tension mein the but jyada kuch nahi hua main ek do deen mein theek ho gaya

 AZMER SHARIF

phir mummy ne kaha ki jab tu bachpan mein beemar hua tha to maine ajmer sharif se dua mangi thi to unki mannat abhi baki hai to ham eek baar waha jana padega aur fir humne decide kiya aur nikal pade hamare saath jin do behno ko main padhaya thaw o bhi gaye aur hum pehle nijamuddin phir mehroli aur phir ajmer sharif ke liye nikal pade delhi se ajmer sharif ka raasta 4-5 ghante ka tha aur hum ajmer sharif pahuch gaye aur humne ajmer sharif ke mazar ke pass hi ghar rent pe le liya 3 dino ke liye ab teen din wahi rehne wale the waha par aana sagar tha dhai din ki jhopdi thi aur bhi bahut kuch tha taragarh jo 52 km ke upar thaw aha paidal hi jana padta tha to hum ajmer sharif ke ander gaye aur chadder chadayi namaz padi aur phir dusre din taragarh ke liye nikal pade 52 km chadai karna aasan nahi tha pehle pehle to halat kafi kharab ho gayi phir dhire dhire acha lagne laga aur hum taragarh pahuch gaye

 




 waha jakar maine ghore ke upar baith kar pic bhi khichwai aur phir hum wapis aa gaye phir 3 din hum aana sagar aur dhai din ke jhopda dekhne aana sagar mein kafi sukoon mila kehte hai jab hamare nabi ko gussa aaya to unhone 1300 km main faile aana sagar ko ek lote mein bhar liya tha aur raja ke request karne par unhone wapas lota palat diya jis se wapis aana sagar mein pani aa gaya aur dhai din ke jhopde ke bare mein kaha jaata hai ki ye dhai din mein bana hai




AANA SAGAR






Aur fir hum wapis ghar aa gaye aur ek baat to main batana bhul hi gaya ki hum cd cassete ki dukan kholi thi lekin wo thik thak chali nahi to humne parchun ki dukan khol li aur us se thoda guzar basar hone laga aur mein us institute mein kaam karne laga us institute mein saaare program manaye jaate the waha bahut maza aata thaw aha sab family ki tarah ho gaye the waha par mera ek dost bana uska naam tha muqeem waise baki sab bhi dost the lekin es se dosti thori gehri ho gayi ye waha English speaking ki class deta tha aur computer bhi padata tha to ek din mulaqat hui aur baton hi baton main dosti ho gayi to aur bhi acha lagne laga aur ek din fir ek ladki ki entry hui jiska naam tha “soni” woh pehle as a computer operator aayi thi aur sir ne mujhe usko sikhane ka kaam diya tha par main kya usko sikhata wo itna bolti thi chapar chapar ki main kuch bol hi nahi pata tha wo mujhe tu bolti thi aur main usko tum waise to koi aur hota to mujhe acha nahi lagta lekin woh jab tu bolti thi to bahut acha lagta tha

wo itni chulbuli thi ki kisi ko bhi us se pyaar ho jayega aur mujhe bhi ho gaya tha lekin maine kabhi usko kaha nahi to hum party bahut karte the kabhi kuch manga liya to kabhi kuch idhar ghar mein thoda kaam karwaya tha jis se wajah se thoda karza ho gaya tha upar chaddar to mere dost ne diya tha jis se woh problem to solve ho gayi lekin farsh bahut niche tha to usko uncha karwane main thode paise lag gaye aur karza ho gaya wo paisa rent pe liya gaya tha to papa ke office mein strike chal rahi thi paise nahi de raha tha malik aur main to 3000 rs kamata tha to us se kuch bhi nahi hota tha to ek din meri friend radhika ne mujh se kaha ki afsar ek job hain Nehru place mein karoge kya maine kaha ha karunga yaar bahut problem ho rahi hai paiso ki to usne kaha thik hai chalna kal subah mere saath main waha karti hu tumhe bhi lagwa dungi lekin interview dena padega main kaha thik hai aur main raat ko interview ki practice karne laga aur subah wo aayi aur hum dono nikal pade uski office ki taraf jaise hui pahucha dekha sir to nahi aaye the manager aaya hua tha to usne kaha baitho jab main bulaunga tab aa jana to main radhika ke saath hi baitha to dekha waha par bahut se log kaam karte the aur sab ke sab young hi the ek do ki umar thi to wo sab apas mein baat kar rahe aur ek do baar meri taraf dekh rahe the to radhika se puch rahe the ye kon hai radhika ne bola mera dost hai job ke liye aaya hai aur fir manager ne mujh ko ander bulaya aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein  


To be Continue


agar aap logo ko ye story pasand aa rahi hai to please comment karke bataiye ki apko ye story kaisi lag rahi hai aur apne dosto ke saaath share kijiye taki unka pyaar bhi hame mil sake aur chapter likhne ka manobal aa sake right side mein bell notification buttin ko dabakar allow karde taki main jab bhi koi chapter dalu to apko notification mil jaye. agar aap hamein koi bhi shujhav dena chahte hai to whatsup no par contact karke hame bata sakte hai

REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08



        






Comments

Post a Comment

PLEASE SPAM COMMENT NA KAREIN AUR HAMEIN COMMENT KARKE BATAYE KI APKO YE CHAPTER KAISA LAGA