MERI KAHANI MERI ZUBANI CHAPTER-07


HAPPY FRIENDSHIP DAY
REAL LIFE STORY

CHAPTER-7


Lekin aage badhne se pehle mere kuch dost mujh se puch rahe the ki main blog kyu likh raha hu to main unhe batana chahta hu ki main blog bahut sare karano ke wajah se likh raha hu
1. Main apna akelapan dur karne ke liye blog likhta hu jis se mujhe alone feel nahi hota hai
2. 
Ees se mujhe logo ka pyaar aur unka sujhaav mil raha hain
3. Ha es se kuch income bhi aati hai
4. Main sochta tha ki jo din beet gaye hai unhe wapis kaise lau to es blog kI wajah se mujhe lag raha hai jaise woh sab din dubara se enjoy kar raha hu

Jaisa ki aaj friendship day hai to aaj story main apne best friend ki batata hu main pehle bhi thoda sa bata chuka hu jaise ki uska naam ravinder kumar (ravi) hai woh aur main cricket match ke dauran hi mile the woh aur main jab field par hote the to hame koi bhi out nahi kar pata tha isliye hum dono ki jodi bahut jamti thi field par kyon ki hamari understanding bahut achi thi jis wajah se hum kafi ache dost ban gaye the aur hamesha saath hi rehte the to main aap logo se kuch image share karunga dekhiye:-

HAPPY FRIENDSHIP DAY




 “ae yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai jawab nahi hamara kahi badi khoob jodi hamari hai”

HAPPY FRIENDSHIP DAY



 "Ye dosti teri dum se hai ye dosti tere dum se hai tu zindagi tu zindagi kasam se hai

HAPPY FRIENDSHIP DAY


 “logo ko aate hai do nazar hum magar ek hai do nahi ho juda ya khafa ae khuda aisa din ho nahi khana peena saath hai marna jeena saath hai sari zindagi ye dosti hum nahi todenge”

"tere jaisa yaar kaha kaha aisa yaarana yaad karegi duniya tera mera yaarana." 

Lekin sab kuch theek tha lekin ek problem thi ki wo jhuth bahut bolta tha main us ko bahut baar bola ki itna jhuth mat bola kar kahi hamari dosti tere es jhuth ki wajah se khatam na ho jaye par wo manta nahi tha aur jhuth bolta jata tha 

 aur main bhi kuch nahi bolta tha kyun ki uski jhuth se kahi badkar uski dosti mere liye important thi bas isliye uski jhuth mein shamil hokar uska saath deta tha taki usko na pata chale ki mujhe pata hai ki wo jhuth bol raha hai bas aisi dosti hamari chalti rahi aur logo ne kafi pasand bhi kiya log kehte the ki yeh dosti kabhi nahi tutegi chaliye ab aage ki kahani dekhte hai jab main koi part time job dhundh raha tha

 to main us jagah pahucha jaha data entry operator chahiye likha tha aur mene us bujurg se kaha ki bhaiya kab aayenge aur unhone kaha ki shaam ko aur main shaam ko bhaiya se milne pahuch gaya jakar dekha to 2 bhaiya baithe the ek chote aur ek bade to bade wale bhaiya ne mujhse pucha kya baat hai main kaha bhaiya data entry ke liye aaya tha to bhaiya ne kaha kahi job ki hai pehle maine kaha nahi kaha speed kitni hai

 maine kaha 5 hai aur wo dono hasne lag gayae bola 5 ki speed main job dhund rahe ho maine kaha bhaiya rakh lo badh jayegi bhaiya ne kaha nahi kuch kama nahi payoge itni kam speed mein to main udaas hokar jane laga to chote wale bhaiya ne kaha ruko tum ek kaam karo kal se aa jao hum ek month dekhenge agar kuch improvement hui to continue karna wana chore dena 

maine kaha thik hai main kal se aa jaunga aur main dusre din pahuch gaya waha jakar dekha to 3 computer the upar teen ki chaddar ki chat thi aur kafi short room tha to main ek system per baith gaya aur  bhaiya ne kuch form diya bola es ko software mein jaise likha hai waise likh do to main likhne laga pehle pehle mein ek haath se hi typing karta tha

 bhaiya ne kaha ek haath nahi dono haath se typing karni hai to mein do se karne laga par jaise hi bhaiya chalte jate main ek haath se karta tha mujhe lagta tha ki mein ek haath se jyada fast kar raha hu phir bhaiya ne dekh liya aur peeche se ek thappad para bola tujhe bola na dono haath se karne ko phir main dono haath se karne laga mujhe bahut baar padi hai bhaiya se phir dhire dhire ek mahina beet gaya aur maine 800 rs ka kaam kiya bhaiya kafi khush the bole sahi kiya hai aur thodi mehnat karoge to achi speed ban jayegi

 maine kaha ha bhaiya bana lunga aur maine computer ki fees di aur baki paise mummy ko de diye fir waha kya hua 3 system the aur kaam karne wale 4 aur bhaiya kisi ko mana nahi kar paye to bole jo pehle aayega wohi baithega baki jo bach jayega wo ghar jayega to subah to main jaldi pahuch gaya lekin lunch ke time jab main ghar aaya jaldi jaldi khana khaya aur cycle chalakar jane laga 

jaldi jane ke chakkar mein ek motor cycle wale ko thoke diya jis ne utarkar mujhe kafi bajaya aur main pit pitakar waha pahucha to dekha main kafi late ho chuka tha aur main ghar aa gaya aise hi kabhi pahuch jata tha kabhi nahi pahuch pata tha wo sab mujhe chirate the ki jitni teri speed hai tu kya kar payega

 hum jo kaam 1 ghante mein karte hai tu 3 ghante main karta hain es se acha to na karna better hai wo baat mujhe bahut chubhti thi to maine socha ki khub mehnat karunga aur ek din ense aage nikal jaunga phir ek din main kaam kar raha tha us din koi aaya nahi tha main akele hi kar raha tha to mere dost ka phone aaya ki cricket khelne aaja bahut bada match laga hai

 mujh se raha nahi gaya man hua jane ko lekin kaam chor ke kaise jaun to maine dekha jo main fill up kar raha tha usme sare student ka number 0 the to maine socha ki agar 0 button press hi rahe to automatic sare bacho ke number 0 ho jayenge aur mujhe type bhi nahi karna padega to main 0 button par ek bada sa tala rakhkar chala gaya jisme automatic 0 sab form main ho raha tha aur main cricket khelne chala gaya 

jab wapis aaya to dekha bhaiya aa chuke the main to daar gaya ki aaj meri class lagegi to bhaiya ne mujhe dekha aur hasne lage to maine kaha bhaiya sorry wo cricket khelne chala gaya tha bhaiya keh rahe tu itna khurafati dimaag lata kaha se hai tune sahi kiya but tu ek chiz bhul gaya ki number to sabke 0 the par roll number to alag the wo bhi sabke 0 fill up ho gaye ab inko baith kar theek kar maine kaha thik hai bhaiya karta hu bhaiya ne kaha apna dimaag sahi kamo mein laga galat kamo mein nahi bhaiya ki wo baat us din mujhe lag gayi aur maine 3 month khub mehnat ki aur main 5 ki speed se 60 ki speed par pahuch gaya

 jo mujhe chirate the main unka team leader ban gaya ab jo kaam main 1 ghante main karta tha wo 3 ghante main karte the main bahut khush tha fir unhone kaam chore diya aur kuch naye ladke aaye jaise abhishek, aashish aur bhi the mujhe naam yaad nahi hai abhishek se meri kafi achi bonding thi hum dono kafi ache dost ban gaye the wo mujhe jyada jante the aur mujh se jyada unki speed bhi thi unhone mujhe bahut kuch sikhaya hai aur mujhe hamesha hosla bhi diya hai aur ashish ke saath main computer padne jata tha wahi se main usko apne pass kaam mein lagaya uski speed bhi kafi achi thi aur aise hi kaam chalta raha meri gali mein ek new family ki entry hui jinke 8 bachhe the jisme 4 ladki aur 4 ladke the usme jo sabse badi wali ladki thi woh mujh se bhi badi thi 

wo thik thi but jo us se choti wali thi wo kuch ajeeb thi uske kapde pehnne ka style kuch alag tha pajame ka ek pair lapeta hua aur ek pair khula hua naak bhi behti thi jab wo meri taraf aati thi to main ghar main ghus jata tha kyun ki uska bharosa nahi hai kahi mere kapdo se apna naak na poch le mujhe nahi pata tha ki aage chalkar meri bahut achi friend banne wali thi wo dhire dhire sudhare lage aur saaf suthre rehne lage uske chote bhai behan meri mummy ke pass tution padne lage 

life kafi achi kat rahi thi lekin ekdin achanak bhaiya ne kaha abhi hamare pass kam nahi hai jab ayega tab aap sabko bulayenge abhi ye office band rahega mere to mano payo ke neeche se zamin nikal gayi kyun ki main ghar mein paisa deta tha jis se ghar kafi achi tarah chal raha tha aur ab main 12th bhi pass kar chuka tha aur mujhe college mein bhi admission lena tha lekin agar kaam band ho jayega to kaise hoga sab kuch aur main phir se dipression mein chala gaya aaj ke liye bas itna hi milte hai next chapter mein 
REAL LIFE STORY

RELATED CHAPTERS PLZ READ

PART-1

CHAPTER-1


 CHAPTER-2

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-03.html

 CHAPTER-3

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/everything-is-here-chapter-04.html

 CHAPTER-4

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/meri-kahani-meri-zubani-chapter-05.html

 CHAPTER-5

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/07/real-life-stroy-part-1-chapter-6-hi.html

 CHAPTER-6

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-07.html

 CHAPTER-7

LINK-https://afsarsk786.blogspot.com/2019/08/meri-kahani-meri-zubani-chapter-08.html


 CHAPTER-8

 CHAPTER-9

 CHAPTER-10

 CHAPTER-11

 CHAPTER-12

 CHAPTER-13


 CHAPTER-14

 CHAPTER-15

 CHAPTER-16

 CHAPTER-17

 CHAPTER-18
 
CHAPTER-19

 CHAPTER-20

 CHAPTER-21

 CHAPTER-22

 CHAPTER-23

PART-2

CHAPTER-01


CHAPTER-02

CHAPTER-03


CHAPTER-04


CHAPTER-05


CHAPTER-06


CHAPTER-07


CHAPTER-08



Comments